Saturday, March 22, 2008

Hai "Global Warming" ahd e rawan mein ek azaab

Hai "Global Warming" ahd e rawan mein ek azaab Jaane kab hoga jahan se is bala ka sadde baab "Green House" gas se mahshar bapa hai aajkal Jis ki zad mein aaj hai "O Zone" ka fitri hijaab Larzah bar andam hai nau e bashar is khauf se Is ke mustaqbil mein nuqsanaat honge be hisaab Muntashir shirazah e hasti na ho jaae kahin "IPCC" ne kardi yeh haqeeqat beneqaab Baaz aaeinge na ham reshah dawani se agar Barf ke tude pighalne se badhe gi sath e aab Is se fitrat ke tawaazun mein khalal hai naguzeer Arsh se farsh e zamin par hoga nazil ek etaab Zehn mein mhfooz hai ab tak" Tsunami" ka asar Sahili mulkon mein hai jiski wajah se izteraab Aisa toofan e hawadis al amaan o al hafeez Nau e insaan kha rahi hai jis se abtak peech o taab Aaj "Bali" mein yahi unwan hai mauzu e bahas Farz se apne karein ge log kab tak ijtenaab Ho saka ab tak na paimaan e "Kayoto"ka nifaaz Hai zaroorat waqt ki apna karein sab ehtesaab Aaiye "Ahmad Ali Barqi" Karein tajdeed e ahd Ham Kareinge mil ke barpa ek zehni Inqilaab

Sunday, March 16, 2008

Tuesday, March 11, 2008

Friday, March 7, 2008

Thursday, March 6, 2008